Mai Raahi Hun Iss Duniya Ka

Mai raahi hun iss duniya ka, kabhi ata hun, kabhi jata hun. Mai apni baat batata hun, Jeena tumko sikhata hun. Hai dekhi jo in aankhon ne, Wo duniya tumhe dikahata hun. Kuch aansun honge jo apne, in hothon se yun chhakkh lena. Jo kahein tumhe apna tumko, Unhe aankhein khol parakh lena. Mai raahi…

Kissa Kagaz Ka

Uddha kar apne kisson ki chadar, Chand lafzon ke takiye bhi, saja dena. Jab akela mehsoos karo, Bejhijhak mujhe utha dena.   Mai subah talak bas sath tere, Har kisse ko pi jaunga. Aur tum kaho, toh har roz subah, woh kissa bhi jee jaunga.   Jo baant diye ho raaz sabhi, mujhe chupke se…

Seep

Maine chhann ke patthar sagar se, Seep khoje the Shaam talak. Thi Sula rhi woh suraj ko, Anchal me chupa kar door falak. Seep sajaye baitha mai, Jab asmaan me rha tha chand chamak. Aur seep sa tara toot gya, Shayad gya tha woh bhatak. Ik ik karke sab seepon ko, Maine yun tha saja…

Woh Adha Chammach Zindagi

Wo patt jhadh ki meethi yaadon se, sawan ke jhoothe waadon tak. Wo garmi ke thos irradon se, Wo Sard raat ke jaaddon tak. Sameti hai khud me maine, Woh ankahi si azadagi. Aj chakh li hai maine, Wo adha chammach Zindagi. Wo chutki bhar pyar ka meeethapan, Beeta jisme pura bachpan. Wo chutki me…

Khwahish

Khwahishon ki chaadar odhe, so gya tha mai, Ki ek mehel apna bhi hoga. Kuch honge phool bageechon me, Kuch honge nishan sangmarmar pe. Kuch baatein hongi hum dono ki, Kuch yaadein bhi apni hongi. Mai baithunga jab angan me, Barsatein bhi meheki hongi. Hoga alam kuch aisa bhi, Kuch aisa maine socha tha par…

Aj Bhi…

Mai tjhe aj bhi us takiye me talashta Hun, Jo mere seene ki ot me, meri baahon ke beech sehema hua, Meri dhadhkano Ko ahiste ahiste, Apne rom rom me yun Sama leta hai, Maano ki wo dhadhkan, uski hi apni ho. Par woh ehsaas jo tujhe apne seene se lagane par hota tha, Maano…