Aj Bhi…

Mai tjhe aj bhi us takiye me talashta Hun,
Jo mere seene ki ot me,
meri baahon ke beech sehema hua,
Meri dhadhkano Ko ahiste ahiste,
Apne rom rom me yun Sama leta hai,
Maano ki wo dhadhkan, uski hi apni ho.
Par woh ehsaas jo tujhe apne seene se lagane par hota tha,
Maano kahin khota sa ja rha hai.
Wo takiya bhi hai,
Usme tere itra ki khushboo bhi,
Woh yaadein bhi hain jo mujhe ek ehsaas mukammal karwa deti thi, ki ye takiya hi toh tera ehsaas hai.
Jaise tujhe seene se lga kar apne sabhi gamo ki aag, teri khushboo se thanda sa kar leta tha, waise hi ye takiya aj bhi tere ehsaas ki chadar mujhe udha kar khud me yun samet leta hai, jaise ek Shaam ka dhalta sooraj, apni ag Ko kisi pahadi ki sheetalta me vileen kar rha ho.
Bas ehsaas hi toh hain Jo reh jaate hain. Samay ke sath, Apne bhi paraya keh jaate hain. Kabhi zaroorat ho tumhe toh hum aj bhi, us gali ke modh par tumhara intezar karte Nazar ayeinge, jis tarah har subah tera Deedar paane Ko Kiya karte the. Hum aj bhi tere sath chalne Ko taiyar hain, tera hath pakad kar khud Ko khone Ko taiyar hain, tujhe apni har sans banane Ko taiyar hain, har aansun ka ehsaas banane Ko taiyar hai, tujhe apna pyar banane Ko taiyar hain.

Kya aj bhi tumhe Darr lagta hai jab tumhe sadak ke is par se us par Jana ho?

Kya aj bhi sadak ke us par koi tumhara waise hi intezaar karta hai, jaise Mai Kiya karta tha?

Kya aj bhi tum sote sote Darr jaati ho aur fr kisi Ko phone lagati ho jaise mujhe lagati thi?

Kya aj bhi exams ke time pe kisi ko phone Mila kar apna Sara Darr baant deti ho jaise mere sath baanta karti thi?

Kya tum kisi ki Kalam ki sihayi Bani, jaise mere lafzon me khud Ko talasha karti thi?

Kya wo dost jise tumne apni puri zindagi bhar ke liye chunn Liya tha, aj bhi yaad aata hai?

Kya aj bhi tum us haathi Ko Apne seene se Yun lga kar so jaati ho, jaise wo Mai hi Hun?

Har Roz, kisi Roz, ki baat bayan karte karte,

Hum baithe nadiya ke kone pe,

Kuch aahein bharte bharte.

Nazar karwatein leti rhi,

Asman Samandar hota gya.

Us chamak ko bheench ke,

Chand mashoor hota gya.

Leave a comment