Seep

Maine chhann ke patthar sagar se,
Seep khoje the Shaam talak.
Thi Sula rhi woh suraj ko,
Anchal me chupa kar door falak.

Seep sajaye baitha mai,
Jab asmaan me rha tha chand chamak.
Aur seep sa tara toot gya,
Shayad gya tha woh bhatak.

Ik ik karke sab seepon ko,
Maine yun tha saja dala.
Surat Teri ban gyi thi shayad,
Ya moti koi tha piro dala.

Sagar ki leherein thi shore karein,
Woh bhatak bhatak ghanghor karein.
Sab seep batore jholi me sab,
Shayad leheron me the chor bhare.

Jab sagar me chand utar aya,
Aur ban ne lagi taaron ki sadak.
Jab paani ankhon me bhar aya,
Aur dikhne lagi thi teri jhalak.

Maine chhann ke patthar sagar se,
Seep khoje the Shaam talak.
Thi Sula rhi thi woh suraj,
Anchal me chupa kar door falak

Leave a comment